QURAN IN ROMAN ENGLISH TRANSLITERATION
Qur’an-e-Kareem 23 sal ke arsey mein Ḥuzoor Nabi-e-Akram ﷺ par nazil hone wali asmani WAḤI ka majmu’a hai. Qur’an-e-Kareem bani nau-e-insan khususan Musalmanon ke liye muqaddas Kitab hai jo in ke liye qanoon aur ahkam, samaji aur ikhlaqi rawayye ke zabitey bayan karta hai aur ek jame’ mazhabi falsafah bhi rakhta hai.
QUR’AN-E-KAREEM KO SAMAJHNE KE LIYE QUR’AN-E-KAREEM KI ZUBAN JANNA ZARURI HAI
Qur’an-e-Kareem ko samajhne ke liye Qur’an-e-Kareem ki zubān jānna zaruri hai, Qur’ān-e-Kareem ki zubān Arabi hai, har khitte (jagah) ke Musalman ba-ghair apni ilaqai zubān meiñ Qur’ān-e-Kareem ka tarjama (translation) pardhe Arabi Qur’ān ko nahiñ samajh saktey isliye har zubān me tarjama (translation) karna zaruri hai.
Daur-e-Ḥāzir meiñ mobile phone ke badhte hue istamāl ki wajha se Urdu-Roman meiñ paighām (message) bhejna nihayat hi āsān aur ek mufeed zariyā ban gaya hai. Isi zarurat ko dekhte huye Kanzuliman Foundation ke publishing division Kanzuliman Islamic library ne Barre-Sagheer (Indian sub-continent) meiñ sabse zyada mashoor aur mobile phone ki wajha se ām taur par istemāl ki jane wāli zabān Urdu-Roman English me Qur’ān- e-Kareem ka ye naql-harfi (transliteration) is jadeed zubān ko likhne ke usooloñ ko dhyān meiñ rakhte nihayat hi standard tareeqe se karne ka azm kiya aur Allah ki Taufeeque se is kām ko anjām diya. Yuñ to Hindustan, Barre-Sagheer me Qur’ān-e- Kareem ke mukhtalif tarājim dastiyāb haiñ, lekin ham ne A’ala Hazrat Imām Ahmad Raza khan Alayhir Rahma ke tarjame se Roman meiñ transliteration kiya hai. Iske wujoohāt āp is Qur’ān ke peshe lafz (preface) meiñ pardh sakte hain aur sāth hi sāth Kanzul Imān ki khususiyāt bhi bayān ki gayi haiñ jo jānna bahut zaroori haiñ.
Quran in Roman English Translation
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Ut elit tellus, luctus nec ullamcorper mattis, pulvinar dapibus leo.
Reviews
There are no reviews yet.