ROMAN TRANSLITERATION KIYUÑ
Qur’an-e-Kareem 23 sāl ke àrsey meiñ Ḥuzoor Nabi-e-Akram ﷺ par nāzil hone wāli āsmāni WAḤI ka majmu’ā hai. Qur’ān-e-Kareem bani nau-e-insān khususan Musalmānoñ ke liye muqaddas Kitāb hai jo in ke liye qānoon aur ahkām, samāji aur ikhlāqi rawayye ke zābitey bayān karta hai aur ek jāme’ mazhabi falsafah bhi rakhta hai.
QUR’ĀN-E-KAREEM KO SAMAJHNE KE LIYE QUR’ĀN-E-KAREEM KI ZUBĀN JĀNNA ZARURI HAI
Qur’ān-e-Kareem ko samajhne ke liye Qur’ān-e-Kareem ki zubān jānna zaruri hai, Qur’ān-e-Kareem ki zubān Arabi hai, har khitte (jagah) ke Musalman ba-ghair apni ilaqai zubān meiñ Qur’ān-e-Kareem ka tarjama (translation) pardhe Arabi Qur’ān ko nahiñ samajh saktey isliye har zubān me tarjama (translation) karna zaruri hai.
Daur-e-Ḥāzir meiñ mobile phone ke badhte hue istamāl ki wajha se Urdu-Roman meiñ paighām (message) bhejna nihayat hi āsān aur ek mufeed zariyā ban gaya hai. Isi zarurat ko dekhte huye Kanzuliman Foundation ke publishing division Kanzuliman Islamic library ne Barre-Sagheer (Indian sub-continent) meiñ sabse zyada mashoor aur mobile phone ki wajha se ām taur par istemāl ki jane wāli zabān Urdu-Roman English me Qur’ān- e-Kareem ka ye naql-harfi (transliteration) is jadeed zubān ko likhne ke usooloñ ko dhyān meiñ rakhte nihayat hi standard tareeqe se karne ka azm kiya aur Allah ki Taufeeque se is kām ko anjām diya. Yuñ to Hindustan, Barre-Sagheer me Qur’ān-e- Kareem ke mukhtalif tarājim dastiyāb haiñ, lekin ham ne A’ala Hazrat Imām Ahmad Raza khan Alayhir Rahma ke tarjame se Roman meiñ transliteration kiya hai. Iske wujoohāt āp is Qur’ān ke peshe lafz (preface) meiñ pardh sakte hain aur sāth hi sāth Kanzul Imān ki khususiyāt bhi bayān ki gayi haiñ jo jānna bahut zaroori haiñ.
Reviews
There are no reviews yet.